Hello,mera nam Meenakshi hai..main m.sc biotech with b ed hu..currently kendriya vidyalaya me teacher hu..meri father army me subedar the..mere b.ed ke exams chal rhe the..papa subedar major bn ne wale the..meri shadi bhi fix 15 June 2013 me..sab kuch acha chal rha tha..ladka bhi relatives me hi dekha tha..par bhagwan ko kuch or hi manjoir tha..meri shadi se 7 days pahle 8 June ko papa hume lene a rhe the..etah apne ganv se shadi kr the the..hum sab Lucknow the..papa shadi ki booking krke hume Lucknow se etah le Jane ke liye a rhe the..aj tk nhi pata kya hua papa ke sath unnao ke pas train se unki accidental death ho gyi..hum sabko believe hi nhi ho rha tha..shadi ki sab taiyari ho chuki thi..dadi ke gharwalo ne bahut koshish ki shadi na ho..Paisa hume mil jaye fauj me h acha Paisa milega sbne yahi socha..but mere husband ne kah diya shadi usi date me jis tarah se papa chahte the waise hi hogi .shadi ho gyi..husband to bahut ache the supportive the but nanad saas bahut taane deti thi baap ko le gyi kuch lekar bhi nhi ayi..husband Delhi job krte the main in laws ke sath Agra rahti thi..in laws bahut pareshan krte the..mujhe government job chahiye thi..papa ka sapna tha..main padhai bhi nhi kr pati thi..husband ne yeh sab dekha to mujhe mathura le aye..main private teaching krne lgi or sath me padhai.. husband Delhi se up down krte the..Maine khub mehnat ki..din rat padhai ki..navodaya me exam me 2 marks se rahi.. kendriya vidyalaya me 1 marks se rahi..2 br interview me rah gyi..tbhi maine. Conceive bi kr liya..baby 4 month ka that..tbhi sab exams diye akele rahke..kvs ka nvs ka sab ek sath pada..nvs me fir rah gyi..but kvs tgt science clear ho gya.. interview hua.. interview me bhi main ro padi..yeh sochkr ab nhi hua to hatash hi jaun.. interview ke bad list ka wait krne lgi..akhirkar result bhi a gya..or Meenakshi Singh ka nam bhi sath me mathura hi posting..woh din hmare liye khusiyon bhara din tha..ab mere 2 bche h ek beta or ek beti..meri sister or brother bhi government job me a gye h..papa ka sapna poora ho gya h..bs yahi kahna chahungi agar din rat mehnat kro ek din safalta jrur milti h..or sath me supportive husband ho to mehnat do guni ho jati h..koshish karne walo ki kbhi har nhi hoti kbhi har nhi hoti..apne bete beti ko bhi defence me bhejna h..wo bhi papa ki tarah desh ka nam bdhaye..jai hind Jai Bharat